Thursday, February 4, 2010

Some ghazals written by me i.e. 'Gobind'

Too na de jagah mujhe bazm mein tere dil mein bas main rahaa karoon
Koee aur meree na jaan ho teree jaan mein hi jiyaa karoon

Hoon jo main alag kabhee khud sse yoon jaisse aasmaan hai zameen sse
Mile jiss tarah koee ghair sse kabhee khud sse yoon bhi milaa karoon

Yoon to maangoo kyaa main hai ssab waham pa jo ho ssake to too itnaa kar
Mujhe yoon lage toone ssun liyaa teraa naam jab main liyaa karoon

Ye jo jaam hain kaee rang ke inhen iss tarah sse main pee ssakoon
Mujhe mai lage wahee ek hee kissee jaam sse bhi piyaa karoon

Hain jo bijliyaan tere husn kee giren iss tarah ye kalaam pe
Mujhe yoon lage tujhe choo liyaa koee sher jab main kahaa karoon

Kabhi kho ke gar vo 'Gobind' jo mujhe paane kee kare aarzoo
Main ssukhanwaron ke khayaal mein usse dard ban ke milaa karoon

(2)
Zindagee reh jayegee kyaa raaz khul jaane ke baad
Jaisse yaaden raaste kee ghar ko aa jaane ke baad

Khwaab mein to khwaab kaa koi ilm hotaa hai naheen
Kaisse jaanen ge khulee kab aankh lag jaane ke baad

Kho to den ham khud ko ussmein kyaa karen ge ham agar
Reh gayaa kuchh poochhane ko usske muskaane ke baad

Zindagee ke baad aanaa maut kaa hai iss tarah
Jaisse aansoo kaa tapaknaa aankh bhar aane ke baad

Jaane kyaa karte jo karnaa chaahte usskaa bayaan
Gar na maane aur hote lafz ke maane ke baad

Aankh maangee hai ki aslee husn kaa deedaar ho
Kuchh na deekhe kaash uss sse aankh mil jaane ke baad

Bekhudee mein mil gayaa hotaa hamein apnaa pataa
Kaash ham behosh hote hosh mein aane ke baad

Yoon padee reh jaayegee jaisse ssukhan 'Gobind' kaa
Kyaa karen ge vo nazar kaa baat keh jaane ke baad

(3)

Ek ehssaass-e-karam dil mein ssamaataa jaa rahaa hai
Kohssaaron par ssukoot-e-shaam chhaataa jaa rahaa hai

Aa rahee hai yaad uss kee waadiyon mein goonjh kar
Door veeraan mein koee banssee bajaataa jaa rahaa hai

Lagtee jaatee hai vo ssoorat aur bhee benaam ssee
Jaisse-jaisse haafize mein naam aataa jaa rahaa hai

Dil ko yoon mehssooss hotaa hai teree jaanib ssafar
Jaisse koee ssaaz ko ssur mein milaataa jaa rahaa hai

Chhup ke bhee vo kiss tarah sse deekh ssaktaa hai hamein
Ssaamne aankhon ke vo chhup kar dikhaataa jaa rahaa hai

Ho rahaa hai jo bhi mujhsse ussko paane ke liye
Hai karam usskaa ki vo mujhasse karaataa jaa rahaa hai

Khaamushee mein teree 'Gobind' goonjte naghmaat the
Ab ssadaa-e-khaamushee gaa kar ssunaataa jaa rahaa hai

No comments:

Post a Comment